top horizontal

How can I become successful ? Start Living Your Dreams.

 kya aap bhi kamyaab hona chahtay hain ?



duniya ke kamyaab tareen logon naay bhi nakami ka mun dekha hoga lekin phir bhi aaj woh log kamyaab hain unn ki kamyabi ki wajah kya hai ?

yeh sawal bohat ahem hai aakhir woh kya tareeqa tha jisay apna kar unhon naay kamyabi haasil ki ?

darasal unn ki kamyabi ki asal wajah yeh hai ke unhon naay apni nakami ko koi ahmiyat nahi di aur nazar andaaz karte hue jad-o-jehad mein lagey rahay aur aakhir-kaar woh kamyaab hue

jin ke paas khanay ko rootti aur pahannay ko kapra nahi tha aaj un logon ka shumaar Ameer tareen logon mein hota hai jo log  dosaron se baat karte hue kanpate they aaj woh log lakhoon ki ijitmaat mein tqririn karte hain aur apni shola bayani se samaeen ko apna madah banatay hain yeh woh log they jin ke maqasid mein mushkilaat ayen aur nakamiyoo ka saamna karna para aur unhon nakami ko nazar andaaz karkay khud ko aik ba-salahiyat ensaan honay ka saboot diya

agar aap ke andar bhi khud itmadi nahi hai aur aap hamesha se nakamiyoo ka saamna karte chalay aeye hain to pareshan nah hon himmat aur hosla se kaam len


na umeedi aur ahsasِ kamtaree ke shikaar nah hon balkay nakamiyoo ko ahmiyat nah dete hue inhen nazar andaz karkay mehnat aur lagan se koshish karen nateeja mein farq zaroor aayega.


hope kh aapko ye post passan aya hoga apni rayee comment me zaroor dyn.

Post a Comment

0 Comments